kyaa Khabar thii ke mai.n is darjaa badal jaa_uu.Ngaa
kyaa Khabar thii ke main is darjaa badal jaauuNgaa
tujh ko kho duuNgaa tere Gam se sambhal jaauuNgaa
tujh ko kho duuNgaa tere Gam se sambhal jaauuNgaa
[is darjaa = so much]
ajanabii ban ke miluuNgaa main tujhe mahafil me
tuu ne chheDii bhii to main baat badal jaauuNgaa
tuu ne chheDii bhii to main baat badal jaauuNgaa
DhuuNDh paaye na jahaaN yaad bhii terii mujh ko
aise jangal me kisii roz nikal jaauuNgaa
aise jangal me kisii roz nikal jaauuNgaa
zid men aaye hue maasuum se bachche kii tarah
Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaauuNgaa
Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaauuNgaa
[kashtii = boat]
-Farhat Shehzad
No comments:
Post a Comment